Lafz-e-pas-e-lafz jo ham boltay hain, roltay hain kon sa lafz hai kholay ga jo dar ma’ni ka iss ka patta kon karay tum to khushbu ho, sitaaroN ki guzargaah ho tum tum kahan aao gai iss dasht-e-purasrar ki pehnai main kaise utro gai tamannaoN ki gehrai mai
reh gaya maiN so aye jaan-e-wafa mai to jo kuch hoon tumharay hi kham-e-chashm se hoon tum hi jab lafz pas-e-lafz se aagah nahi kis tarah sehr-e-mafaheem ko darwaza khulay lafz ki kokh main taseer kahan se utray
tum meray saath ho, humraah nahi kon se khuwaab ke jugmug main nihaaN hain ham tum kaise girdaab-e-tamanna mai rawaaN hain ham tum lafz ka paar jo daikhain to koi raah nahi aur tum lafz-e-pas-e-lafz se aagaah nahi
tum kahan aao gai iss dasht-e-purasrar ki pehnai main kaise utro gai tamannaoN ki gehrai mai
Wah