ba-raha mujh se kaha dil ne ke ae shuabda ger
tu ke alfaaz se asnaam gari karta hai
kabhi us husn-e- dil-ar'a ki bhi tasveer bana
jo teri soch ke khakon main laho bharta hai
ba-raha dil ne ye awaaz suni aur chaha
maan loon mujh se jo wajdan mera kehta hai
laikin is ujz se haara mere fun ka jadoo
chand ko chand se barh ker koi kaya kehta hai