Jan 20th, 2010, 09:25 pm | #1 (permalink) |
| Aaeen-e-Nau say darnaa, tarz-e-Koh'n paY aRnaa Manzil yehi KaThi'n hai, qoumoN kee zindagi maiN Join Date: Jan 1st, 1970 - 12:00 am Posts: 1,572 | Basheer Badar's famous poem's parody by me Nazar jhukaa kaY naa chalaao karo, kabhi qarz hum ko diyaa karo Jo yeh brief case hai haath maiN, kabhi maal iss maiN rakhaa karo YooN hee besabab naa phira karo, kabhi siyaasat bhee kiyaa karo jissay chaahiye hoN sifaarishaiN, ussay parchiyaaN bhee ataa karo Kabaab qourmay tum khaa chukay, murgh-e-musallam bhee uRaa chukaY Jaao kissi kaY ghar bhee jub, tau chai coffee bhee piyaa karo TaxiyaaN haiN kabhi cyclaiN, haaN mercedez hai jo tumhaaraY paas ishq maiN apnay galee galee, youN laY kay issaY naa phiraa karo Cricket tumhaaraa ishq hai, aur bhaataa hum ko bhee yeh khel hai Imran bano, Waseem bano, laikin Akmal khudaaraa naa banaa karo Qoumi ittefaaqi Raye kay naam par, karo siyaasat kee kabaddiyaaN Hizb-e-Mukhaalif ko tum dafaa karo, sadar mulk kaa banaa karo HammaiN vote qoum nay hai diya, chaahay aslahay kaY zor par TumhaiN vote jo naheeN milaa, tum chupkay chupkay jalaa karo BY: AQ |
| ShaheeN Kaa JahaaN aur! :-) PakFuse was NOT created in a single day. |