Aug 14th, 2009, 12:56 am | #2 (permalink) |
| Senior Member Join Date: Feb 7th, 2009 - 08:21 pm Location: USA Posts: 1,134 | Main nay tujhe us umer main chaha tha Arz-e-Watan Jab shao'or aaj ki surat mera baidaar na tha Main nay us waqt bhi likhay thay kaye geet teray Jab meray zehan main lafzon ka ambaar na tha Ek be-naam si khalish rakhti thi be-chain mujhe Jab meray bas main jazbon ka izhar na tha Main nay us door main maangi thi teray dar pe panah Jab yahan door talak saya-e-deevar na tha Yaad hay mujhe ko wo aaghaz-e-safar ki baten Kon tha jo teri chahat main giraftaar na tha Aag main phool khilatay hoye aatay thay magar Koye lab harf-e-shikayat ka gunah gaar na tha Sabar aur shukar k paikar thay sab hi deevanay Hawis o hirs main koye bhi giraftaar na tha Azam roshan tha nigahon main shararon ki tarhan Marhala koye bhi apnay liyen dushwar na tha Aaj kyon Qarz-e-Watan bhool gaye hain hum log Pehlay to apni wafaon ka ye mayyar na tha Aaj kya baat hay kyon tujhe say hamen pyar nahin Aaisa lagta hay hamen tujhe say kabhi pyar na tha   |
| Last edited by Khaamoshii~; Aug 14th, 2009 at 02:46 am. |