| Chiragh dasht k zinda jala ga'ey MUJH ko Ye dard shaam k lamhoo'n main kha ga'ey MUJH ko HUMAIN to phool ki khushbu pe neend aati thi Na jane WO khaak pe kaisy sula ga'ey MUJH ko Yahan to waqt ki aankhoo'n say khoon tapakta hay Yey maizbaan kahan par bitha ga'ey MUJH ko TERE hijaab ko cho kar hawain aati hain Yehi khayal tou pathar bana ga'ey MUJH ko HUMARAY zabt ki dunia misaal deti thi Nikal k ankh say ansoo rula ga'ey MUJH ko.. |