| (ChaaNd) Ehsaas Mujh Ko LauTa do Yaad k GulistaaN meiN ...Dhoop Jo sunehri hey uss ko kaesay rokoN mein Saaz ka wo ek lamha jo ChaaNd ban k utra thaa Meray dil k aaNgan meiN ..soaz ban k chaaya hey har Aks sayaa hey Khayaabaan-e uljhan meiN , DhuNdh heiN sabhi sapnay Sapnay hein adhoora- pan Saarey Sapnay Tum le Lo Raakh hoti ulfat ko janooN ki manzalein de do mehak tou nahi baaqi ....Rang baqi rehnay do ! Aarzoo tu rehnay do.. Hasrat-e Gul ko mein kaesay kaesay giNwaaOun Aasmaan-e Hasti pe jo chaaNd ka thikana thaa wo hee bass apna thaa Aaj waapis LauTa do.............. ChaaNd Taarey Sab ley Lo Khawab saaray ley Lo Phool saray tum ley lo Khaar Mujh Ko Loataa Do ChaaNd tha deewana pan..,, Deewangii mujhey de do ...ChaaNd chahay tum rakh lo Jheel meiN larzta, Aks-e Meh...Mujhay dey do .... ChaaNd ki judaai meiN be-bassi ki jo taRpan hey Meray pass rehnay do Be-bassi ko apnii....ruswaaii nahi DooN gee lab apnay si looN gee Yaad k GulistaaN ki Dhoop Jo Sunaheri hey Jalti AankhouN k Dukh...... uss mein saaray ji luuN gii ! Judaaii ka dard ab , ruuh ko nahiN duuN gi Saaray Dard ji LuuN gii Dard saaray sehnay ki ..Hiss mujh ko LauTa do... Ehsaas Mujh Ko LauTa do..................!! |