| Khamosh SadaaeiN khamosh kamrey main baithi sun rahi hoon kisi k dil meiN paiwast sadaeiN aesi...! jo kisi ki zaat sey baahar nikalney ko be-taab hoN... dheemi dheemi siskiyaan jo jism'o jaan meiN andar hi andar ghut rahii hoN... be'khawab ankhoon sey ashk rawaan jo kisii khawab ki tabeer sey pehlay beh niklay hoN... sun sakti hoon tou bas aik gehra sannata jo khud meiN sadiyaan samaitey baitha hey... door kaheen sey aati qadmoN ki chaap magar jaisey palat jaatii ho rukhsat chahti ho... wuh chahatoN ka mosam jo waqt'e rukhsat kisi sey udhaar manga thaa lout jana chahtaa ho dekh lo... kisi ki dil'daar ankhoon meiN wuh aakhri yaad ka pal aik khamosh lamhay ki tarha thehar geya ho jaisey... lekin meiN ney jaana.! sab kuch badal geya ho jaesy..!! sab kuch badal geya ho jaese...!!! |