Another famous poem of AIA ... another masterpiece... enjoy
Bay Nigaah AanNkhoN say
dekhtaY haiN parchaY ko
Bay khayaaL haathoN saY
un-bunnay say LafzoN par
uNgliyaaN ghumaataY haiN
yaa sawaal-naamaY ko
dekhtaY hee jaataY haiN
Har taraf ka'n-akhiyoN saY
ba'ch ba'chaa kaY taktaY haiN
DoosroN kaY parchoN ko
Rah-numaa samajhtaY haiN
Shaayad iss tarah koi
Raastaa hee mil jaaye
BaY nishaaN khwaaboN kaa
Kuch pataa hee mil jaaye
Mujh jo dekhtaY haiN tau
YooN Jawaab Copy par
haashiye lagaataY haiN
DaairaY banaataY haiN
JaisaY unn ko parchay kaY
sub jawaab aataY haiN
Iss tarah kaY manzar maiN
Imtehaan gaahoN maiN
dekhtaa hee rehtaa thaa
Naqal karnaY waaloN kaY
nit-naye tareeqoN say
aap lutf letaa thaa!
dostoN say kehtaa thaa
Kiss tarah say jaanaY yeh
Aaj dil kaY aaNgun maiN
Ik sawaaL aayaa hai
SeNkRoN sawaaloN saa
ik sawaaL laayaa hai
Waqt kee adaalat maiN
Zindagi kee soorat maiN
Yeh jo teray haathoN maiN
ik sawaaL naamaa hai
Kiss nay yeh banaayaa hai?
Kiss liye banaayaa hai?
Kuch Samajh maiN aayaa hai?
Zindagi kaY parchaY kaY
Sub sawaaL laazim haiN,
Sub SawaaL mushkiL haiN
Bay nigaah aaNkhoN saY
dekhtaa hooN parchaY ko
Bay khayaaL haathoN saY
Un-bunnay say LafzoN par
UngliyaaN ghumaataa hooN
Haashiye lagaataa hooN
Daairay banaataa hooN
Yaa SawaaL naamaY ko
Dekhtaa hee jaataa hooN!