I wrote this poem on May 26th, 2007 on my birthday... thought to share it here....
No new poem this year yet.... oh well!
---------------------------
Uss raat aasmaaN par ajab ik ghubaar thaa
badlee kee oTT maiN chaaNd tanhaa, udaas thaa
taaroN kaY aas paas bhee andheroN kaa raaj thaa
kuch aataa naheeN yeh yaad kiss kaa intezaar thaa
aaNkhoN maiN tertaY huaY unn aaNsu'oN kaY paar AaNchaL kee sursaraahuT thee, woh chehra Gulaab thaa
maiN beetaY huaY zamaanaY kaY maah-o-saal maiN yaadoN maiN gharQ thaa, LaRakpann sawaaL thaa
KamraY maiN jaltaY huaY woh barqi qumqumaY pehni thee sub naY kuch woh rang barang see TopiyaaN ghubaaraY uRR rahai thaY dar-O-deewaar bhee sajjaY thaY
maiN bhaagaa phir rahaa thaa Sherwaani, zeb-e-ta'n kiyaY
har dil masroor aur chehraa gulnaar thaa chimTaa huaa MaaN saY, maiN bahut bayqaraar thaa
Wah bohat khubsurat nazm hai AQ iss nazm main jo aap nay feelings biyaaN ki haiN, mujhay feel hoi hain, aur sacchi main, meray aankhoN main aansoo aagaye hain
Thanks AQ itni achi nazm share karnay kay liyah aap ko bohat bohat salgirah mubarak ho