**radio ad keh style may**
kia kissi nay aapko takkar mari .?
kia takkar khanay ki jagah peh soojan howee hai..?
kia soojan saaf dikhti hai?
kia haath phernay say aur dard hota hai..?
is ka matlab hai.. aap ki tind peh kissi nay joota/sandal mara hai..!
koi baat nahee.. istemaal kariya BeDard ka Tind-Polish..
jiss say saray naye poranay tind keh khadday aur phoray flat ho jayain..!
aik baar lagaiyay.. baar baar maar khaiyay..!!
Be-Dard ... jaha cheekhain nahee nikalti..!
tamaam sandals larkon ki tind ki pohonch say door rakhain aur halat bigar janay par danda ka istemal karain..
wazart-e-khopri .. hukumat-e-tind.istan