ek din i was standing at the bus stop, uss din mausam bohat khushgawar tha..achanak sey zorr zorr sey hawa chalnay lagi aur halki halki baarish honay lagi, Main dua karnay lagi jaldi sey bus aajai takay main baarish tez honay sey pahlay ghar pohanch jaon..lekin kya hua kah zorr sey badal garja aur main nay darr kar ek zorr ki cheekh maari "Ammiiiiiiiiiiiiiiiiiii" meray aas paas bhi 3-4 log kharay thay woh mujhay dekhnay lagay isko kya hogaya..khair kisi ko samajh nahi aaya kah main nay kya kaha, magar sab mujhay dekh kar hansnay lagay aur kuch log road cross kar rahay thay woh bhi ruk gaye... uff phir mujhay bohat sharmindagi hoi kah main ek badal kay garajnay sey darr gayee thee