**TV commercial**
**talking is very fast speed**
Kia aap bhoot preet par yakeen rakhtay hain..
kia aap in bhootoun say darte hain..
kia aap ko raat ko neend nahee aati..
kia aap roz kapray badaltay hain..
kia aap ki naak may hawa aati jaati rehti hai..
agar in sab ka jawab "haan" hain to aap keh liye aik bohot hi khalis aur mufeed ilaaj hai..
is ki khas baat keh is keh koi side effects nahee.. seedha jaar tak jaa kar khatam karta hai. pata bhi nahee chalta..!!
ji haaan.. to aap keh bhootoun pareetoun, raatoun ko jagnay aur nahanay ka ilaaj hai..
choohoun ka khaya huwa kurta..!!
Jee haan is ko pehn keh chalaingay.. to bhoot preet aap ko apna samajh keh kareeb nahee aayaingay.
Garmi ki wajah say neend ur jaati hai, is kurta may itnay suraakh hain keh thandi hawa pooray jism ko thanda rakhay gee.
kapray badalnay ki bhi nobat nahee ayaygee jab sab log aap keh haathoun may paisa daingay ...
aur aagar naak ki hawa ko kam karna ho, yeh kurta itna bara hai keh poori naak keh andar ghuss sakta hai..!
dekha.. aab keh faiday ki baat..!! ab jald hi order karain..
**wazarate manfee -e- aabadi, hukumate kabristan **
**back to boring drama**