pata nahi
Sub maya hay ...
Posted Jun 22nd, 2009 at 06:49 pm by Azad
zindagi aik virtual reality ki manend hay ..... buss yahi haqeeqat baqi sub fasane hain ....
bhag dooR, kaam, log, dhair saray log pal main hain bhi .... or nahi bhi..
preshaaN log, UjaR haal, khali haat - nange paoN or naseeb ki lakeeron ki tarah uljhe howe log.
khushaal, amir taqt'war oor akhteyaar ke nashe main choor log.... sub hi hain -
oss waqt tak hain jab tak hum hein yani jab tak hamara shaoor is virtual ko reality bana kar paysh karta rahay ga... tab tak iss virtual reality ki gehma gehmi mein gom- joz ko qul maan kar hum ghaflat ki bemari mai bemar rahein ge.
khair jo hum kehna chah rahay hain woh keh na pain ge .... lekh na payinge ...
lekha to naseeb ka hota hay .....
chahe barson ki rayazat ho ... ya sadiyon ki musafat ....
kehte hain sub lekha howa hota hay....
paki siyahi se.... chahay aankhein paRte dhondla jain ... iss ki siyahi ko koi dhond-la'hat chu nahi sakti..
baqi baad main.

Total Comments 10
Comments
-
InsaaN khooshish kare tu bohat kuch badal or likh sakte hai , apne lakirooN mein ... Mehnaat , reyazaat or justajoo shaRt haiN ..
Kabhi kabbhi apnee kam nigah'e or kaaam choRiii k sabab paida howe haaalat ko MuqaadaR ka likha samjna dusraat nahi hotah
Posted Jun 22nd, 2009 at 07:35 pm by Aliyish
-
Posted Jun 22nd, 2009 at 11:23 pm by Blonde Baji
-
Posted Jun 29th, 2009 at 04:43 pm by Lafanter
-
Posted Jun 29th, 2009 at 05:26 pm by Blonde Baji
-
Posted Jun 29th, 2009 at 06:04 pm by Lafanter
-
Nawazish Lafanter Bhai, zara nawazi hay aap kiPosted Jul 4th, 2009 at 03:25 pm by Azad
-
Posted Jul 6th, 2009 at 08:47 am by Blonde Baji
-
hummm matlub: blonde agar bhoot bhi ban jay to blonde hi rehta hay.
khush?Posted Jul 6th, 2009 at 08:40 pm by Azad
-
Posted Jul 8th, 2009 at 03:09 am by Blonde Baji
-
Bhoot: jo nazar nahi aate un ki awaz bhi sunaii nahi daytiPosted Jul 9th, 2009 at 07:37 pm by Azad

Café d´Fuse
Views @ Fuse
Laugh & Humor
Image Collection
Video Junction
Techie Corner