Aadaab-ul-arz ho sab ko..!
some other site peh aik dhadga khola tha.. jis ko kafi response mila tha..
to us ka part 2 yaha peh open kia jaa raha hai..
waisya same updates will be on that other site as well.. :-)
to new comers... this is the FUN thread..!! yaha apnay koi bhi skits, dialogues, monologues, adverts, songs, whatever u think is funny input karain.. aur enjoyment and laughter output karain..!! u will love this ... for sure..!!
so no more waiting..!! yeh lo.. gana hai..
Duniya banane walay.. by Mukesh.. New version by AarDee.. (urf ChaiWala)
oh also reply posto..!! postiyoun..!

if you want more intersting stuff ..!
OK LYRICS HERE... par suno saath may
oh kapray seenay walay
yeh tu ne kaisee ki silaayee
tujh ko sharam bhi na aayee
tu ne karli hai mujh say larayee
collar ki jagah tu ne yeh ka lagaya
ulta hai ya seedha samajh na aaya
kahay banaya tune aisa kurta
kahay banaya tune aisa kurta
pehn keh jiss ko lagta houn may murda
nazar jab ayay ga to
aisi karounga may pitaayee
jootoun say hogi dhulayee
tu ne mujh se kar li larayee
pajama tu ne itna tang banaya
mushkil se may isko pehen paya
khud ko seeshay may jab may ne dekha
khud ko seeshay may jab may ne dekha
jhaaroun keh tinkoun ko liya ho theka
kab tak bhagay ga salay
peeche tere police lagayee
keeray paray may doun duhaayee
tu ne karli hai mujh larayee
oh kapray seenay walay
yeh tu ne kaisee ki silaayee
tujh ko sharam bhi na aayee
tu ne karli hai mujh say larayee BTW.. ALL this is CopyLeft Protected...!! jee haan.. left hand say copy nahee hogaa.!! MUHAHAHAHAHA