| Tum dekh lo aa k....!! Sham k aaakhri peher, Ik shamma ko main ney Bujhney nahi diya.. Shab k sirktey aanchl sey, Ik chaah ko main ney, Khony nahi diya.. Ik Ik kar ke, Har shaam dhalti gai BaRhtey saaye k sang Raat yuNhi bikharti gai.. Par Zabt-e-intezaaar, Kisi lamhey bhi main ney GhuTney nahi diyaa.. Gul -e- aitbaar, kisi lamhy bhi main nay, Dhalney nahi diya.. Tum dekh lo aa k....!! Meri har aarzoo, Teri mehek say ab bhi moa'tar hey.. Meri har raah, Terey andhery smaitney k waastey ab bhi munawwar hay.. Tum dekh lo aa k...!! Apni aankh ko main ney roney nahi diyaa Apni kisi raah ko main ney simtney nahi diyaa Apni umeed ko main ney soney nahi diya.. Tum dekh lo aa k...!! Tum dekh lo aa k....!! |