lo.. kahani kaha say kaha pohonch gayee.. back to story.>!!
itnay may waha aik news van aye aur jab darwaza khula to ... ... ...
van may say jootay nikalay aur zameen par gir gayee.. aur phir khatarnaak backgroud music chalnay laga.. aur aik taang (leg) nazar aayee..!!
dhan dhan..
ab doosri taang nazar aayee..
**wolf howling sound effects..**
camera pairoun say aahista aahista upar ki taraf aata hai..
haathouh may har ungali may sonay ki angoothi,
kalayee par motay motay sonay keh karray.. (bangles)
galay may 4 gold chains.. aur aik chain khopri keh shakal may...
camera aur upar hota hai.. daant nazar aatay hain.. saray gold keh..!!
aur phir... poora chehra nazar aata hai....
**screeeeaaaammss**