phir rahul samjha kay woh superman ki tarha hawa main urr raha hai, magar maajra hi kuch aur tha woh hawa main urnay kay bajai neechay girr raha tha pinky kay bhaari bojh sey.. rahul nay aankhain band karli aur dua maangnay laga ek dam sey usay feel hua kah woh halka hogaya hai tou usnay aankhain band karkay jab dekha tou woh ek pole main atka hua tha aur pinky neechay girr gayee thee..phir pinky neechay girtee aarahee thee kah neechay chaiwala aur AQ chai bananay main masroof thay, pinky unkay uppar aakar giri, AQ ka ghussay main moonh laal hogaya kah itni mahnat sey chai banai aur usnay sara satya naas kardia, phir chai walay aur AQ nay kaha pinky ko kah....