| maulvi sahab sab ko roknay ki koshish kartay hain aur beycharay khud bhi pitt jatay hain..aakhir jhunjhala kar kahtay hain "array kambhakton tum log kabhi baaz nahi aaogay jao jao jaa kar apna kaam karo" itnay main rahul ki amma apni jooti utaar kar CW, AQ, rahul ko maarnay dorrtee hain, dono apni larai bhool jaatay hain aur amma ki jooti kay darr sey teeno bhaag nikaltay hain.. phir scene change hota hai.. Pinky apnay office main bethi hotee hai..usko ek phone call aatee hai..phone call sun kar woh ek cheekh maartee hai hai aur dharaam sey seat sey neechay girr jatee hai..saamnay sey Pinky ka boss aaraha hota hai woh pinky ko beyhosh dekhta hai tou jaldi sey sab logon ko bulata hai aur usko hosh main lanay ki koshish karta hai..Pinky hosh main aa kar boss ko dekh kar dobara beyhosh hojatee hai.. |