^ aray bhai, Chaiwala, Rahul kaY make-up maiN hotaa hai naa

----------------------------------------------------------------------
haaN tau haNsi ghaayab ho gayee, kiouN kay darwaazaY maiN doodh waala khaRaa thaa aur uss kaY haath maiN pakRi huee cheez ko dekh kar hee woh saari chokRiyaaN bhool gayeeN... aaNkhoN maiN khauf dauR gayaa, aur halaq khushk ho gayaa... donoN naY dari dari nazroN saY doodh waalaY kaY haath maiN pakRi huee cheez ko dekhaa aur phir Gul Khaamoshi say (the character khaamoshi, not "with Silence") mukhaatib huee:
"yeh aakhir hamaaraa peechaa kub choRaiN gey? akhir kub? abb tau uTH-tay beTh-tay bhee inhi kaY draownay khwaab aataY haiN, daak kay lifaafoN maiN say bhee yehi kam-bakha't "BILL" bilbilaatay huaY nikaltay haiN..... Khudaa ghaarat karaY
" aur phir Gul nay doodh kaa bill doodh waalaY saY lay kar aik nigaah uss par daali aur boli: