| Behosh Halwaai ko jab hosh aata hey tou apney aap ko apney sunsaan kamrey meiN paata hey.....meiN yahaaN kaesey aaya..... akhbaar bed k kooney pe paRa hey, wuh dartey dartey akhbaar uTthata hey, aur usko poora chhaan maarta hey lekin wuh khabar doobara nahi milti...... ye akhbaar tou meiN ney aik qabar meiN chuhpa kar rakha thaa ye baahir kaesey aaya........wuh utth kar kamrey mein chakar lagaata hey, phir aik faisla kar k mutmain ho jaata hey ......aur ghar sey baahir nikalta hey....... |