abhi Rahul chaiwala ki pitaai kar hi raha hota hai k itnay mein Pinky udhar sey guzarti hai. Rahul ki bahaadri daikh kar Pinky impress ho jaati hai aur college jaatay saath hi, apni sahaili ko poori daastan suna daiti hai.

ab tu bus, Pinky din raat rahul k khawab daikthi hai. Phir achaanak aik din Rahul aur Pinky ka aamna saamna ho jaata hai - nazrein milti hain, kuch palkein jhapakti hain,... pinky sharma kar duppatay ka kona munh mein rakh laiti hai..... aur rahul seeti bajaata hai.........

*background mein music ki awaz*
abhi gaana shuru hi honay lagta hai k Chaiwala apni cycle per awaz maarta guzarta hai............... "chaaaaaai - 2 rupay chota cup, 3 rupay baRa cup"
saraa gana beech mein hi reh jaata hai.... aur Pinky ghussay sey jooti utaar kar kehti hai..... "oye satya naaaaas...."